Wednesday, January 21, 2009

Hey, I heared Obama's first speech as the President of America. I found him so simple and down to earth though he has created the history in the American politics! Very nice language he used. A friendly body language! Let's hope for the best. Even he has emerged out as a great hope to the world. Best Of Luck Obama!

Monday, January 19, 2009

Jub hum 60 sal ke honge
Subah ki chay sath piyenge
Aur kuchh kadam sath chalenge har sham
Hamare ghar ki balcony suni nahi hogi
Kyon ki hum honge vaha
Hamari pasand ke kuchh paudhe bhi lagayenge
Jinhe hum office k jhamele me nahi laga paye
Aur tub tum apna mobile kum sun na
Kyonki mujhe sunani hogi woh dher sari batein
Jo kabhi tumhare mobile ki vajah se tum ne nahi suni
Sunoge na??
Tub bhi mai tum se jhagda karungi
Wo waqt vapas karne ke liye jo tum ne mujhe nahi diya
Khana to hum sath hi khayenge
Aur tum apne sare kam bad me karoge
Tumhara har pal sirf mera hoga...
Barish k dino me Dang zarur jayenge
Aur me tub bhi Capri pehne apne
Camera sath liye ghumungi...
Ek library hogi jaha tum apne akhbar
Aur mai apni novels sath padhenge
Dekhenge wo tasvire aur yad karenge
Har wo pal jo hum ne jaldi me jiye honge kabhi
Aur bitenge hamare woh fursat ke pal
Yad karte hue un palo ko
Jub hame fursat nahi thi
Jub hum 60 sal ke honge
Apne shaher ki har sadak se guzrenge
Aur fir se dekhenge har woh nazara jo
Kabhi hum ne jaldi me nahi dekhe
Un sare dosto ko milenge jinhe
Hum salo nahi mile honge
Mai tub bhi tum se ruthungi
Aur tum mujhe dino tak manana
Kyonke tumhe kabhi waqt nahi tha mujhe manane ka
Aur hum muskurayenge woh
Mera ruthna yad kar ke
Jub hum 60 sal ke honge